Video editors: Ashish Maccune and Veeru Krishan Mohan
“Sab yaad rakha jayega, sab kuch yaad rakha jayega. This poem is for Kashmir, AMU, Jamia, Uttar Pradesh, JNU, Delhi. This poem is for all those places where under the cover of darkness, the cowards committed atrocities on us.”Aamir Aziz
At the ‘India, My Valentine’ event in Mumbai on 16 February, Aamir Aziz delivered a powerful rendition of his poem ‘Sab yaad rakha jayega, sab kuch yaad rakha jayega’.
‘Sab Kuch Yaad Rakha Jayega’
Tum raat likho hum chaand likhenge
Tum jail mein daalo hum deewar phaand likhenge
Tum FIR likho hum hain taiyyar likhenge
Tum hamein qatl kar do hum banke bhoot likhenge
Tumhare qatl ke saare saboot likhenge
Tum adaalaton se baithkar chutkule likho
Hum sadkon deewaron pe insaaf likhenge
Behre bhi sun mein itni zor se bolenge
Andhe bhi padh lein itna saaf likhenge
Tum kaala kamal likho
Hum laal gulaab likhenge
Tum zameen pe zulm likh do
Aasmaan pe inquilab likha jayega
Sab yaad rakha jayega
Sab kuch yaad rakha jayega
Tumhari laathiyon aur goliyon se qatl hue hain jo mere yaar sab
Unki yaad mein dilon ko barbaad rakha jayega
Sab yaad rakha jayega
Tum syahiyon se jhooth likhoge humein maloom hai
Ho humare khoon se hi ho sahi sach zaroor likha jayega
Sab yaad rakha jayega
Mobile telephone internet bhari dopeher mein band karke
Sard andheri raat mein pure sheher ko nazarband karke
Hathaudiyan lekar daffatan mere ghar mein ghus aanaa
Mera sar badan meri mukhtasar si zindagi ko tod jaana
Mere lakht-e-jigar ko beech chaurahe pe maar kar
Yun be andaaz khade hokar jhund mein tumhara muskurana
Sab yaad rakha jayega
Sab kuchh yaad rakha jayega
Din mein meethi meethi baatein karna saamne se
Sab kuch theek hai har zabaan mein tutlaana
Raat hote hi haq maang rahe logon pe lathiyan chalana goliyan chalana
Humhi pe hamla karke humhi ko hamlawar batana
Sab yaad rakha jayega
Main apni haddiyon pe likhke rakhunga ye saare wardaat
Tum jo maangte ho mujhse mere hone ke kaagzaat
Apni hasti ka tumko saboot zarur diya jayega
Ye jung tumhari aakhri saans tak lada jayega
Sab yaad rakha jayega
Ye bhi yaad rakha jayega ke kis tarah se tumne watan ko todne ki saajishein ki
Ye bhi yaad rakha jayega ke kis jatan se humne watan ko jodne ki khwahishein ki
Jab kabhi bhi zikr aayega jahan mein daur-e-buzdili ka tumhara kaam yaad rakha jayega
Jab kabhi bhi zikr aayega jahan mein taur-e-zindagi ka humara naam yaad rakha jayega
Ke kuch log the jinke iraade toote nahi the lohe ki hathaudiyon se
Ke kuch log the jinke zameer bike nahi tha izaardaaron ki kaudiyon se
Ke kuchh log the jo tike rahe the tufaan-e-noo ke guzar jaane ke baad tak
Ke kuchh log the jo zinda rahe the apne maut ki khabar aane ke baad tak
Bhale bhool jaye palak aankhon ko moondna
Bhale bhool zameen apni dhoori pe ghumna
Hamare kate paron ki parvaaz ko hamare phate gaalon ki awaaz ko yaad rakha jayega
Tum raat likho hum chaand likhenge
Tum jail mein daalo hum deewar phaand likhenge
Tum FIR likho hum hain taiyyar likhenge
Tum hamein qatl kar do hum banke bhoot likhenge
Tumhare qatl ke saare saboot likhenge
Tum adaalaton se baithkar chutkule likho
Hum sadkon deewaron pe insaaf likhenge
Behre bhi sun mein itni Zor se bolenge
Andhe bhi padh lein itna saaf likhenge
Tum kaala Kamal likho
Hum laal gulaab likhenge
Tum zameen pe zulm likh do
Aasmaan pe inquilab likha jayega
Sab yaad rakha jayega
Sab kuchh yaad rakha jayega
Taakey tumhare naam par ta-umr laanatein bhejin jaa sakein
Taakey tumhare mujassamon par kalikhein potee jaa sakein
Tumhare naam tumhare mujassamon ko abaad rakha jayega.
Photographs courtesy: Md Meharban, Mahavir Bisht, Vinit Gupta, Tehreem Fatima, Sreekanth Sivadasan, Ayush Kathuria, Shivam khanna, Mohd Danish, Ghulam Hussain, Farhan khan, Prabhat Tiwari, Shakeeb KPA, Maryam Tariq
Special thanks to: Swara Bhasker, Aditi Anand, Fahad Ahmad and the rest of the team at ‘India, My Valentine’
(At The Quint, we question everything. Play an active role in shaping our journalism by becoming a member today.)