The Indian constitution may have given all its citizens fundamental rights. But what happens when these rights are only granted subject to certain conditions? In this video, actor Ayushmann Khurrana shows you the harsh realities of the world we live in.
Poetry: Abhinav Nagar
Camera: Sanjoy Deb
Camera & Production Assistant: Gautam Sharma
Editor: Ashish Maccune
Producer: Divya Talwar
Meri azaadi, mera right...
Hai zara CONDITIONS APPLIED!
Samveedhaan ne diya mujhe
sab kehne likhne ka right,
par pata na tha ki yeh tab mumkin hai
Jab aap hain "unki" side!
Meri azaadi, mera right...
Hai zara CONDITIONS APPLIED!
Khaane peene jeene ka,
Sabko adhikaar samaan hai...
Par bheed ko tumpe shaq hua toh
tumhari pehchaan hi unka samvidhaan hai!
Meri zindagi aur maut bhi,
jab mera naam kare decide...
Meri azaadi, mere right...
Hai zara CONDITIONS APPLIED!
Kissan jo hoon main
toh sab kuch ugaane ka freedom hai...
Par fasal jo asaphal hui,
toh beraham yeh system hai...
Karz mein doobi laachaari ka,
kyun chara bas, kheton ka pesticide?
Meri azaadi, mera right...
Hai zara CONDITIONS APPLIED!
Beti jo hoon main,
"Bachao aur Padhao" ka mujhse vaada hai...
Par bachun kis kis se? Ghar daftar jab
toot ti harr maryaada hai...
Mere Birth ko chun na bhi,
Ho jab kissi aur ka birthright...
Meri azaadi, mera right...
Hai zara CONDITIONS APPLIED!
Yoon toh de kar tax, mujhe,
har suvidha milni chahiye...
Sadak ke ghaddon, gundon se
suraksha milni chahiye...
Par iss expectation aur reality mein...
ab bhi hai ek bada divide...
Meri azaadi, mera right...
Hai zara CONDITIONS APPLIED!
Rang, jaat aur dharam ka,
Yeh bhed bhaav sangeen hai...
mook humein kyun dekhta
yoon Article 15 hai?
Haqq hone aur haqq paane ke
beech rozana chalti yeh fight...
Meri azaadi, mere right...
Hain zara CONDITIONS APPLIED!
(This video is from The Quint's archives and is being republished to mark Ayushmann Khurrana's birthday)
(At The Quint, we question everything. Play an active role in shaping our journalism by becoming a member today.)