Kashmeer mein jalein jo log, harein jo log, bachein jo log,
Unmein agar main hu toh kya hai.
Punjab ki beparwaah ladaiyo mein, khooni golibariyon mein, marein jo log, tabah hue jinke ghar, chali gyi jinki aal-aulaad, maan-baap, ghar-baar
Unmein agar main hu to kya hai.
Muzaffarnagar mein tabah hui jinki asmat, chhoda jinhone apna makaan, khet-khalihaan, zameen aur jaan,
Unmein agar main hu to kya hai.
Gau-hatyaa ke naam par, hue jo bachhde apni maan se door, hue tabaah jinke ghar parivaar, hue jo zar-zar,
Wo Akhlaque, agar main hu to kya hai.
Hui jo barbaad, hui jo tukde-tukde in watanparaston se,
Wo deewaar agar main hu to kya hai.
Qaabu mein hai ab jo inki jhoothi tasalliyon par,
Wo jazbaat agar main hu to kya hai.
Khatm ho gaya jo chot khakar apne hi logo se,
Wo ehsaas agar main hu to kya hai.
Raund di gayi jo 1984 mein, gujaraat mein, vasant vihaar mein,
Wo sahmi si awaaz agar main hu to kya hai.
Looti gyi jiski izzat, tamaam daleelon ke bina par,
Wo adhikaar agar main hu to kya hai.
Naam ho jiska badnaam, phir bhi chalein jo uske naam par,
Wo sawindhaan agar main hu to kya hai.
Sahmaa hai jo gharon mein, thanda hai jo raghon mein,
Wo inquilaab agar main hu to kya hai.
Aankhon mein aansoo liye hue khadaa hai jo apne adammya saahas par,
Wo hindustaan agar main hu to kya hai.
Wo hindustaan agar main hu to kya hai…
Kaleem Ullah Fasihi’s ‘Bol’
(At The Quint, we question everything. Play an active role in shaping our journalism by becoming a member today.)