advertisement
Camera: Athar Rather, Mrityunjay Sharma
Script Inspiration: Piyush Rai, Abhinav Pandey
India grapples with the profound repercussions of its infrastructure failures following a series of devastating incidents — frequent bridge collapses, train accidents, and the crumbling of metro and airport pillars.
These tragic events not only highlight glaring flaws in the country's infrastructure but also underscore the urgent need for comprehensive reforms and investments in maintenance and safety.
In such situations, what happens to an 'Aam Aadmi', and an 'Aam Aurat' in India?
Main Ek Aam Aadmi
Aur Ek Aam Aurat Hoon...
Sarhad Par Bina Gaye Hi
Sar Par Kafan Baandh Rakha Hai...
Kab Kisi Airport Ki Chhatt
Mere Upar Gir Jaye
Aur Main Shaheed Ho Jaun...
Kab Metro Station Ki Railing
Mere Sar Par Gire,
Aur Main Mar Kar
Desh-hit Mein Jansankhya Kam Kar Jau...
Aur Haan...
Main 17 Logo Ki Wo Bheed Bhi Hoon
Jo Mumbai Mein Kisi Prachar Ke
Hoarding Board Ke Neeche
Aa Pahuchta Hoon,
Aur Mar Kar Bechari Companies Ko
Badnaam Kar Jaata Hoon...
Kabhi Train Ki Seat
Mere Upar Gir Jaati Hai...
Kabhi Train Or Meri Zindagi
Ki Patri Ukhad Jaati Hai...
Aap Bhool Gaye Honge...
2 June 2023 Ka Vo Din Tha,
Jagah- Odisha Ka Balasore Tha...
Teen Trains Ke Dabbe Aapas Mein Takraye The,
Mere Sath 296 Log
Bhagwan Ko Pyaare Ho Gaye The...
Main Ek Mazdoor Bhi Hoon...
Jo Bihar Ke Supaul Mein
Kosi Nadi Par Ban Rahe
Pull Par Kaam Kar Raha Tha...
Pull Ka Hissa Toot Gaya
Aur Meri Zindagi Ki Dor Chhoot Gayi...
Sarkari Files Mein
Sankhya Yaani Number Hoon Main...
Media Ki Kahani Ka
Ek Character Hoon Main...
Chai Ki Tapri Par
Baithe Logon Ke Liye
'Aah, Itne Log Mar Gaye?'
Wala Gumnaam Hoon Main...
Sarkari Jaanch Mein
Kuch Na Milne Wali Report Hoon Main...
Rajneetik Dalo Ke Liye Satta
Aur Tu-Tu, Main-Main Ka Samaan Hoon...
Kamaal Dekhiye,
Har Maut Ek Jaisi Nahi Hoti...
Metro Ki Galti Se Maro, 25 Lakh.
Train Accident Mein Maro,
Toh 12 Lakh...
Pull Girne Se Maro, Toh 10 Lakh...
Main Ek Aam Aadmi Hoon...
Wohi Jo Akela Mare Tab Mamooli Baat,
100 Marein Toh 5 Din Tak Ki Yaad,
1000 Marein Toh Itihaas Ki Kitaab...
Haan, Ek Aam Aadmi Hoon Main...
Haan, Ek Aam Aurat Hoon Main...
Sarkar Ke Liye
Bas Ek Number Hoon...
Watch the full video on YouTube now!
(At The Quint, we question everything. Play an active role in shaping our journalism by becoming a member today.)