advertisement
As an atmosphere of dissent takes over the country, actor Zeeshan Ayyub speaks out with a few questions he has for the present government.
Mere desh mein bada bawaal hai..
aur mere chote chote sawaal hain..
Sawaal hain iss sarkaar se..
Jisey chuna tha bade aitbaar se..
Ki tumhara toh kaam sabko saath chalaana hai..
Aag lagaana nahi, lagi aag bhujaana hai...
Toh kya hai yeh majboori aisi?
Phir Kyun hai yeh zidd si aisi?
Ki jaltey shehar, phailta zehar, aapko kuch naa dikhaayi de...
Main toh hoon sarhad ke andar, mera dard bhi naa sunaai de?
Sach bolo, secular desh mein kya
Mere secular hone ka tumhe malaal hai?
Mere desh mein bada bawaal hai..
Aur mere chote chote sawaal hain..
Sawaal hai mera ussey jo vote dekar ghulaam ban jaata hai...
Bin samjhey, bin jaaney, sab rattu totey sa dohraata hai..
Woh jo bhool gaya ki uska mazhab hi,
Vasudhev kutmbkam sikhaata hai.. (vasudhev kutumbkam - all world is my family)
Bhakti mein woh leen hai aisa ki
Na poora Hindu, na secular reh paata hai!
Are woh desh dharam hi kya
Jo dekhe Huliyaa..Naa dekhe kya haal hai?
Mere desh mein bada bawaal hai..
Aur mere chote chote sawaal hain..
Sawaal hai ussey, aur bhi gehra..
Woh jo bana bezubaan behra...
Woh jisey lagta hai ki surakshit hai..
Ya chhup rehne mein jiska hit hai..
Are jao dekho samjho jaano..
Desh kyun jal raha hai...
Gandhi ka desh tha kuch aur
Jinnah mein kyun badal raha hai...
Jis samveedhaan ne rakha khayaal tumhara..
Ab tumhe rakhna uska khayaal hai...
Mere desh mein bada bawaal hai..
Aur mere chote chote sawaal hain..
Script: Abhinav Nagar
Talent: Zeeshaan Ayyub
Camera: Mukul Bhandari and Sumit Badola
Edit: Ashish Maccune and Veeru Krishan Mohan
Producers: Vatsala Singh and Divya Talwar
(At The Quint, we question everything. Play an active role in shaping our journalism by becoming a member today.)
Published: 27 Dec 2019,10:37 PM IST